Aatey rahein Ambiya qamaa qeela lahum
Aatey rahein Ambiya qamaa qeela lahum
Wal-khaatamu haqqukum key khaatam huwe tum
Ya-ani jo huwa daftar-e-tanzeel tama-am
Aakhir mein huwi mouhar key akqmaltu lakqum
Shab lahya woh shaarib hay rukh-e-raushan din
Gesu-o-woh shab-e-Qadr-o-Baaraat-e-Momin
MuzgaanMuzragaan ki safein chaar hain do abru hain
Wal-fajr pehlu mein Layaalin ashrin
Allah ki sar ta ba-qadam shaan hay yeh
In saa nahin insaan woh insaan hain yeh
Quran to imaan bataata hay inhein
Imaan yeh kehta hay meri jaan hain yeh
Bosa-gahe ashaab woh mouhar-e-saami
Woh shaanah-e-chup mein uski ambar faami
Yeah tuarfa kehi hay kaba jaan-o-dil mein
Sange aswad naseeb rukn-e-shaami
Kaabe sey agar turbat-e-shah faazil hay
Kyoon baayen taraf uske liye manzil hay
Is fikr mein jo dil ki taraf dhyaan gaya
Samjha ki woh jism hay yah markade dil hay
tum chaaho toh qismat ki museebat tal jaaye
Kyoon kar kahun saaat sey qayamat tal jaaye
Lillaah utthaa do rukh-e-raushan sey niqaab
Maula meri aayi huwi shaamat tal jaaye
Yaan shibh-e-shabeeh ka guzarna kaisa!
Be misl ki tamsaal sanwarnaa kaisa
Unka muta alliq hay taraqqi pey mudaam
Tasweer ka fir kahiye utarna kaisa?!
Yeh Shah ki tawazu ka taqaaza hi nahin
Tasweer kheenche unko gawaara hi nahin
Maana hay yeh maani keh karam kya maaney
Kheenchna toh yahaan kisi sey thehra hi nahin