Dil ko unke se Khuda juda na kare

Dil ko unke se Khuda juda na kare

Bay kisi loot le Khuda na kare

 Iss me Rauze ka sajdah ho ke Tawaaf

Hosh me jo na ho woh kya na kare

 Ye wahi hai ke bakhsh dete hain

Kaun in jurmaun par saza na kare

 Sab tabeebaun ne de diya hai jawaab

Aah E’saa agar dawah na kare

 Dil kahaan le chala Haram se mujhe

Aray tera bura Khuda na kare

 A’zr ummed a’fwu gar na sune

Roosiyah aur kya bahana kare

 Dil me Raushan hai Sham’a Ishq e Huzoor

Kaash josh e hose hawa na kare

 Hashr me hum bhi sair dekhinge

Munkar aaj Unse ilteja na kare

 Za’eef mana magar yeh zalim dil

Unke raste me to thaka na kare

 Jab Teri khoo hai sab ka jee rakhna

Wahi achcha jo dil bura na kare

 Lay Raza sab chale Madine ko

Mai na jaoon aray Khuda na kare
Next Post Previous Post