Na aasmaan ko yoon sar kasheedah hona tha
Na aasmaan ko yoon sar kasheedah hona tha
Huzoor-e-khaak-e-Madinah khameedah hona tha
Agar gulon ko khizaan naa raseedah hona tha
Kinaar-e-khaar-e-Madinah dameedah hona tha
Huzoor un key khilaaf-e-adab thi betaabi
Meri umeed tujhe aar meedah hona tha
Nazarah khaak-e-Madinah ka aur teri aankh
Na is qadar bhi qamar shaukh deedah hona tha
Kinaar-e-khaak-e-Madinah mein rahatein milti
Dil-e-hazeen tujhe ashk chakeedah hona tha
Panaah-e- daaman-e-dasht-e-Haram mein chain aata
Na sabr-e-dil ko ghazaal-e-rameedah hona tha
Ye kaise khulta key unke siwa shafee nahin
Abath na auron key aage tapeedah hona tha
Hilaal kaise na banta key maah-e-kaamil ko
Salaam-e-abroo-e-Shah mein khameedah hona tha
La amla anna jahannam tha wa-dah-e-azali
Na munkiron ka abath bad aqeedah hona tha
Naseem kyoon na shameem un ki Taiba sey laati
Ke subh-e-gul ko girebaan dareedah hona tha
Tapakta rang-e-junoon ishq-e-Shah me har gul sey
Rag-e-bahaar ko nishtar raseedah hona tha
Baja tha arsh pe khaak-e-mazaar-e-paak ko naaz
Ke tujh sa arsh nashin aafreedah hona tha
Guzarte jaan sey ek shor-e-Yaa Habeeb key saath
Fughaan ko naala-e-halq bureedah hona tha
Mere kareem gunah zeher hay magar aakhir
Koi to shahed-e-shafa at chasheedah hona tha
Jo sang-e-dar pe jabeen saaiyon mein tha mitna
To meri jaan sharaar-e-jaheedah hona tha
Teri quba key na kyoon neeche neeche daaman hon
Ke khaaksaaro sey yaan kab kasheedah hona tha
RAZA jo dil ko banana tha jalwah gaah-e-Habeeb
Tu pyaare qaid-e-khudi say raheedah hona tha