Na arsh-e-ayman na inni zaahibun mein meyhmaani hay

Na arsh-e-ayman na inni zaahibun mein meyhmaani hay

Na lutf-e-udun yaa Ahmad naseeb-e-lan taraani hay

 Naseeb-e-dostaan gar unkey dar par maut aani hay

Khuda yun hi karein phir to humesha zindgaani hay

 Ussi dar par tarapatey hain machltey hain bilaktey hain

Uttha jaata nahin kya khoob apni naa-tawaani hay

 Har eik deewaro dar par mehr ne ki hay jabeen saayi

Nigaar-e-masjid-e-aqdas mein kab sone ka paani hay

 Terey mangtaa ki khaamoshi shafaa-at khwaah hay us ki

Zabaan-e-be zabaani tarjumaan-e-khasta jani hay

 Khule kya raaz-e-ehboob-o-Muhib mastaane ghaflat par

Sharaab-e-qad ra yal Haq zayb-e-jaam-e-man ra aani hay

 Jahaan ki khaakroobi ne chaman aaraa kiya tujh ko

Saba hum ne bhi un galiyo ki kuch din khaak chhani hay

 Shahaa kya zaat teri Haq numaa hay fard-e-imkaan mein

Keh tujh sey koi awwal hay na tera koi saani hay

 Kahaan us ko shak-e-jaan-e-jinaan mein zar ki naqaashi

Iram key taayire rang-e-pareeda ki nishaani hay

 Ziyabun fee thiyabin lab pe kalma dil mein gustakhi

Salaam Islam mulhid ko keh tasleem-e-zabani hay

 Ye aksar saath unke shaana-o-miswaak ka rehna

Bataataa hay ki dil reshon pein zaaid mehrbaani hay

 Isi Sarkaar sey dunia-o-deen milte hay saail ko

Yahi darbaare aali kanz-e-aamal-o-amaani hay

 Duroodein soorat-e-baala moohit-e-maah-e-Taybah hein

Barasta ummat-e- aasi pen ab rahmat ka paani hay

 Ta aala Allah istighna terey dar key gadaaon ka

Keh unko aaar far-o-shaukat-e-saahib Qur ani hay

 Woh sar garme shafaa at hay araq afshaan hay peshani

Karam ka itr sandal ki zameen rehmat ki ghaani hay

 Ye sar ho aur woh khaak-e-dar, woh khaak-e-dar ho aur ye sar

RAZA woh bhi agar chaahein to ab dil mein ye thhaani hay
Next Post Previous Post