Rounaq-e-bazme jahaan hay aashiqan-e-sokhta
Rounaq-e-bazme jahaan hay aashiqan-e-sokhta
Keh rahi hay sham-a ki goyaa zabaan-e-sokhta
Jisko qurse mehr samjha hay jahaa(n) ay mun-imo
Unke khwaan-e-jood sey hay ek naan-e-sokhta
Maah-e-mann yeh nayyar-e-mehshar ki garmi ta-bakey
Aatish-e-isyaa(n) me khud jalti hay jaan-e-sokhta
Barq-e-angusht-e-Nabi chamki thi uss par ek baar
Aaj tak hay seena-e-maah me nishaan-e-sokhta
Mehr-e-aalam taab jhukta hay paye tasleem roz
Peshe zarraate mazaar-e-bedlaan-e-sokhta
Koocha-e-gesu-e-jaanaan sey chale thandi naseem
Baal-o-par afshaan ho Yaa Rab bulbulaan-e-sokhta
Bahre Haq aay bahre rehmat ik nigah-e-lutfbaar
Taa-ba-key be aab tadpe maahiyaane sokhta
Ru-kashe khursheede mehshar ho tumhare faiz sey
Ik sharaare seena-e-shaidaiyaane sokhta
Aatishe tar daamani ne dil kiye kya kya kabaab
Khizr ki jaan ho jila do maahiyaane sokhta
Aatish-e-gulhaa-e-Taibah par jalaane key liye
Jaan key taalib hain pyaare bulbulaane sokhta
Lutf-e-barqe jalwa-e-me raj laaya wajd me
Sho la-e-jaww aala saa(n) hay aasmaan-e-sokhta
Aay RAZA mazmoon soz-e-dil ki rif at ne kiya
Is zameen-e-sokhta ko aasmaan-e-sokhta