Aariz-e-shams-o-qamar sey bhi hain anwar aeriyan

Aariz-e-shams-o-qamar sey bhi hain anwar aeriyan

Arsh ki aankhon key taare hain wo khushtar aeriyan

 Jaa baja par to figan hain aasmaan par aeriyan

Din ko hain khursheed shab ko maah-o-akhtar aeriyan

 Najm gardoon to nazar aate hain chote aur wo paaon

Arsh par phir kyoon na hon mehsoos laaghar aeriyan

 Dab key zer-e-paa na gunjaish samaane ko rahi

Ban gaya jalwa kaf-e-paa ka ubhar kar aeriyan

 Un ka mangta paaon sey thukra de wo duniya ka taaj

Jis ki khaatir mar gaye mun-am ragar kar aeriyan

 Do qamar do panja-e-khowr do sitaare das hilaal

Un key talwe panje naakhun paaye athar aeriyan

 Haaye us patthar sey is seene ki qismat phoriye

Be takalluf jis key dil mein yoon karein ghar aeriyan

 Taaj-e-roohul quds key moti jise sajdah karein

Rakhti hain wallah woh pakizah gauhar aeriyan

 Ek thokar mein uhad ka zalzala jaata raha

Rakhti hain kitna waqaar Allahu Akbar aeriyan

 Charkh par charhte hi chaandi mein siyahi aa gayi

Kar chuki hain badr ko taksaal bahar aeriyan

 Aay RAZA toofan-e-mehshar key talatum sey na dar

Shaad hon hain kashti-e-ummat ko langar aeriyan
Next Post Previous Post