Ishq-e-Mawla mein hoon khoon baar kinaar-e-daaman

Ishq-e-Mawla mein hoon khoon baar kinaar-e-daaman

Yaa Khuda jald kahein aaye bahaar-e-daaman

 Beh chali aankh bhi ashkon ki tarah daaman par

Key nahin taar nazar juz do seh taar-e-daaman

 Ashk barsaaon chale koocha-e-jaanan sey naseem

Yaa Khuda jald kahin nikle bukhaar-e-daaman

 Dil shudon ka yeh hua daaman-e-athar pe hujoom

Be dil aabaad hua naam dayaar-e-daaman

 Mushk saa zulf sheh-o-noor fashan rooye Huzoor

Allah Allah halb-e-jeeb-o-tataar-e-daaman

 Tujh sey aaygul main seetam,deedah-e-dasht-e-harmaan

Khalash dil ki kahoon ya Gham-e-khaar-e-daaman

 Aks afgan hay hilaal-e-lab-e-sheh jeeb nahin

Mehr aariz ki shuaaein hain na taar-e-daaman

 Ashk kehte hain yeh shaidayi ki aankhein dho kar

Aayadab gard-e-nazar ho na ghubaar-e-daaman

 Aay RAZA aah wo bulbul key nazar mein jis ki

Jalwa-e-jeeb gul aaye na bahaar-e-daaman
Next Post Previous Post